FASTag Kya Hai What Is FASTag For Vehicles And how to use Fastag --

Article achha laga to share kare..

Fastag kya
hota hai --
Fastag kya
hai aur ye kaise work karta hai, aaj ke es post me Fastag kya hai hum aap ko
puri details batayege ki ye fastag kya hota hai, aur ye hota kya hai aur iski
jarurat kyo hoti hai.
Fastag kya
hai –
Yadi aap ko
road pe travel karna pasand hai to aap jab bhi koi toll plaza cross karte hai
to waha pe aap ko apne van ke anusar tol tax pay karna hota tha jo ki abhi tak
manually hota tha , yani aap ko cash se ye kam karana padata tha lekin ab yeasa
nhi honga .
Fastag ke
ane ke bad se ab cash ki koi jarurat hi nhi hongi, Abhi kuch dino se ye naya
rule nikala hai ki har van ke upper fastag lagega jisake jariye aap jab bhi
apne gandi ko tol plaza se cross karayege to waha pe auto pay ho jayega aap ka
tol tax yadi aap apne gandi pe fastag nhi lagate hai to aap ko jurmana bhi
bharana pad sakta hai.
Fastag ko
govt kyo lekr ayi aur iska use kya kya honga aur iske ane se fayada kya honga,
to bata de ki ye fastag ke aane se aap ke gandi jab bhi tol plaza se cross
karegi to waha pe autopay ho jayega tol tax aur paise aapke account se cut
jayega , yesa hone se aap ko koi bhi cash ka len den nhi karna honga aur na hi
cash lekr travel karne ki jarurat hai.
Aaj ek es
post me Fastag ke bare me puri jankari dene wala hu ki akhir ye kya hai kaise
work karta hai, kyo iski jarut hai, fastag ka use aap sabhi toll plaza me kar
sakte hai jo ki hai National Electronic Toll Collection (NETC) programme ke
jariye ata hai..
Fastag kya
hota hai –
What is
Fastag –
Fastag ek
bahut hi Easy se use karne wala system hai, jo ki reloadable tag hota hai jo ki
enable karta hai automatic deduction of toll charge, wahi ye aapko allow karta
hai toll Plaza se pass hone ke liye wo bhi bina kisi bhi prakar ke Cash
Transation ke liye rukane ke liye.
Fastag ko
link kiya gaya hai ek prepaid account ke sath jaha se jaruri toll amount apne
aap hi cut jate hai, es Tag me Radio- Frequency identification (RFID)
technology ka use kiya jata hai, jise ki gandi ke widnscreen par lagaya ja
sakta hai, aur fastag lagane ke bad use activate karna padata hai.
Fastag yadi
aap apne gandi pe laga ke activate kara leta hai to wo sabhi pure india me lagu
honga aur wahi se aap toll plaza ke toll tax pay kar sakte hai.
FasTag ki
validity kitani hai –
Validity of
FasTag –
Fastag ki
Validity Unlimited hoti hai aur yadi aap ek bar use kharid liye to wo Fastag
aapke liye hamesa ke liye hota hai, Fastag me ek QR Code hota hai jiske andar
aapke gandi ke sari information add hoti hai, jaise me ki aap ki gandi 4
wheeler hai ki 6 wheeler, 8 wheeler, 10 wheeler etc. sari information us QR
Code me hoti hai aur jaise hi aap kisi toll plaza se cross karte hai to waha pe
lage scanner us code ko scan kar ke aap ke gandi ke anusar utana paisa cut ho
jata hai.
Yadi aap ke
gandi pe laga Fastag yadi kabhi koi kharabi ya cut ya fat jata hai ya QR Code
se koi chhedkhani ho jati hai to aap ko naya Fastag laga honga , aur naya
fastag usi tarah milega jaise pahale mila tha.
Fastag ki
puri janakari –
Full
Information of Fastag –
FASTag ek
aisa device hota hai, jisame se Radio Frequency identification (RFID)
technology ka use kiya jata hai, Toll Plaza payment ki directly karne ke liye
use linked prepaid ya savings accound se aur ise gandi ki windscreen par lagaya
jata hai, scanning ke liye jab ko kisi Toll Plaza se hokar jata hai to esme
lage device ya gandi ke owner ko cash Transaction ke liye rukane ki jarut nhi
hoti hai.
Note –
FASTag ki validity to Unlimited hoti hai, lekin har 5 saal ke bad use renewal
karana padega aur sath me apne jarurat ke hisab se use recharge ya top up karna
padega..
Fastag yadi
aap use karte hai to aap ko tol plaza par cash lekr jane ki jarurat nhi hai,
aur esase aap ke time ki bhi bachat hongi, jab bhi aap fastag ka use karege aur
kisi tol plaza se tol tax pay karege to jo bhi amount katega uska SMS ke jariye
alert mil jayega ki kitan balance cut hua aur kitana account me balance
available hai abhi.
Fastag
Recharge kasie kare –
FASTag ko
kaise recharge kare ya fastag me balance kaise add kare, yadi aap fastag use
karte hai to usame aap ko ya to recharge karna honga ya to khud se balance add
karna honga aur ye aap kaise kar sakte hai.
Fastag ko
Online recharge kar sakte hai, uske liye aap use kar sakte hai, Credit card,
Debit card, Net Banking, NEFT/RTCS, kisi bhi tarike se kar sakte hai fastag me
aap manimum R’s 100 aur maximum R’s 1 Lakh tak ka recharge kar skte hai.
Fastag
Transferable hote hai-
Yadi aap
fastag use karte hai aur soch rhe hai ki ek fastag lekr use apne sabhi gadiyo
pe use kar le to aap ko bata de ki ek fastag sirf ek gandi ke liye hote hai.
Fastag ko
Transfer nhi kiya ja sakta hai, ek fastag sirf ek gandi ke liye hote hai.
NHAI ke
kitane Mobile App ko lauch kiye hai –
National
Highways Authority of India ( NHAI) ne mobie app ko launch kiye hai, ye fastag
ke available ke liye kiya gaya hai, jo ko hai MyFastag aur Fastag hai.
Electronic
Toll Collection (ETC) –
ECT
(Electronic Toll Collection ) ek type ka
electronic paymet system hai jo ko jab ki koi Gandi kisi toll plaza se gujarati
hai to waha pe lage electronic system use scan kar leta hai aur fastag ke
balance cut jata hai.
ETC kyo
Important hota hai –
1 December
se Govt ne ye announced kar diya hai ki yadi aap ke pass cars, Jeeps, vans,
buses, trucks, aur bhi koi van jo toll plaza se tol tax dekar abhi tak jati thi
wo ab unhe apne van pe Fastag lagana jaruri honga kyonki yadi aap apne vehicles
me Fastag nhi lagate hai to aap ko jarmana bharana pad sakta hai.
Yad aap
vehicles me aap ko 1 December se Fastag
use karna hi padega aur yadi aap apne vehicle me Fastag lagate hai to jab bhi
aap tol plaza se cross karate hai to fastag se aap ka tol tax auto pay ho
jayega.
Ye Fastag
enable payment abhi tak karib 450 toll plaza pe available ho chukka hai aur
kuch hi dino me har tol plaza me ye available ho jayega.
Fastag toll
plaza ka sari janakari National payments Corporation of India ke website --
npci.org.in/netc pe aap ko mil jayegi aur
wahi yadi aap Fastag se payment karte hai toll plaza pe to aap ko kuch cash
back bhi milega jo ki sidhe aap ke account me add kar diya jayega.
Yadi aap
fastag ka yadi aap use karte hai to ye Digital payment ko bhi ye badawa de raha
hai, Fastag ka use karne se aap ki time aur money dono bachaga aur aap ko
traffic se bhi chhutakara milega.
FASTAg kaha
se kharide --
Fastag ka
use karna important ho chukka hai, aise me customer chahe to koi bhi Point Of
Sale (POS) locations se vo bhi toll plaza/ issuer agency par jakr apne liye ek
Fastag account create kar sakta hai, wahi toll plaza ke alawa bhi Fastag
available hote hai, bank me jaha ki authorities se NHAI ke sath signed up kar
liya ho wahi ek traveller ke liye wo asani se niche batayi gayi kisi bhi ek
specific Bank se contect kar sakte hai.
Abhi tak
bahut sare private aur public sector banks ne NHAI ke sath partnership ki hai,
jinme samil hai HDFC Bank, Syndicate Bank, Axis Bank, IDFC Bank aur State Bank
of India hai, wahi payment banks me paytm offer karti hai.
Ab bata deta
hai ki kaise Fastag prapt karte hai--
1 – Online
Sale – Fastag ko online kharida ja sakta hai, issuer Banks Website / NHAI
website / IHMCL website se aur ye apko ghar tak courier se pahut jata hai.
2 – Mobile
app – MyFastag ek consumer App hota hai, jise ki Download kiya jata hai,
Android ke liye ek consumer chahe to Fastag es app ke jariye kharid aur
recharge bhi karwa sakte hai, can purchase or recharge Fastag on this app.
3 – point of
Sale (POS) locations – Point of Sale locations par jakar bhi ye Fastag kharid
sakte hai, ye toll Plaza aur banks ke sales office me available hota hai.
Fastag ko
aap karib 28,500 point-of-Sale locations se kharid sakte hai, jo ki bahut bank
aur IHMCL/NHAI ke drara setup ki gayi hai jisame samil hai, NH fee plazas RTOs,
Common Service Centres, transport transport hubs, bank branches, selected
petrol pumps etc.
Eske alawa
aap Issuing Bank Customer Care numbers se ye identify karwa sakti hai, aapke
smip ko POS location kaun sa hai, jisase aapko ye tag le sakte hai.
Yadi Fastag
kharab ho jaye to kya kare –
Kya Fastag
Duplicate milata hai –
Yadi aap
fastag le liye hai aur use apne vehicle par lagate samay kharab ho jata hai ya
kabhi bhi karab ho jata hai to aap ko new ya (Duplicate ) mil jayega Fastag
lekin uske liye phir se sare Document ka Xerox Copy submit karna hona.
FAStag kaise
Read karta hai –
Fastag lekr
aap apne Vehicle ko jaise hi kisi toll plaza se cross karege waha pe laga
scanner use read kar ke automatic balance cut kar lena eske liye aap ko
manually use scan karne ki jarurat hi nhi padegi.
SBI Fastag
Agent kya karta hai –
SBI Fastag
agent ka kam hota hai ki wo aap ko fastag available karaye aur uske bare me
sahi sahi puri janakari de apko aur yadi kabhi apka fastag kho jaye ya kharab
ho jaye to use new lagaye me madad kar.
Fastag apply
ke kya kya jaruri Document ki jarurat padegi –
Fastag apply
main Document –
Yadi aap ke
Vehicle hai aur aap ko Fastag chahiye to aap ke pass kuch jaruri Document hona
bahut jaruri ho sakta hai , kuch domument ki list de raha hu use dhyan se dekh
le, aur use lekar Point of Sale (POS) par jakr Fastag le le..
1 – Vehicle ka Registration Certificate (RC).
2 – passport
size photograph, Gandhi ke owner ki.
3 – KYC
document – ( Driving License, Pan Card, Passport, Voter ID Card, Aadhar Card.)
Yadi aap
Fastag lene ja rhe hai to aap ko in Document koi apne sath lekr lana honga ,
original ke sath xerox copy bhi jo waha jama ho jayega.
Fastag ke
charge kitan hota hai –
Charge of
Fastage –
Yadi aap
fastag lete hai to waha pe aap ko use recharge karna hota hai jo ki wo bank pe
depent karta hai ki wo minimum charge kitana leta hai , waise minimum charge
R’s 200 hai , lekin bank ise kam ya jyada kar sakta hai ye bank pe depand karta
hai.
Fastag ko
kaha lagaya jata hai –
Fastag ko
shishe pe kaha lagaye –
Fastage ko
shishe ke andar ki taraf se lagaya lata hai, Fastag me pahale se hi gum hota
hai jo shishe pe chipak jata hai.
Fastag ke
use ke fayage –
Benefit of
Fastage –
Fastag le
lene ke bad usake fayade kya kya hota hai wo aaj jan lete hai..
1 -Fastage use karne se aap ko cash ki koi bhi
chinta karne ki jarurat nhi hongi.
2 – Vehicle ko toll plaza pe rukane ki jarurat nhi hongi
jisase traffic aur fuel dono me fayada honga.
3 – Fastag ko aap khud se online recharge kar sakte hai.
4- sms alert se aap ko ye pata chal jayega ki kitana paisa
kis toll plaza pe kata hai.
5 – ye online sahi ke liye available hongi .
6 – Fastag ki validity lagabhab 5 year hoti hai.
7 – Fastage ke aap ko cashback bhi milata hai.
Fastag ko activate kasie kare –
How to activate Fastag –
Fastag ko aap govt ke drara diye gaye do app ka use kar ke
activate kar sakte hai..jo pahle hi bata
chaka hu..
Ese apne bank se bhi activate kara sakte hai .
Fastag ko kaha lagaye –
Ek bar aap
ko Fastag mil jata hai to use aap shishe ke andar ki taraf se Windshield ki
center me install kiya jata hai.
Question Section –
Q – kya
honga yadi me 24 hour me return ho jata hu to –
Abhi tak aap
cash ke toll tax dete the aur waha pe tha ki yadi koi ek toll plaza me gujata
hai to use waha pe ye batana padata tha ki wo 24 hour me yad dono side ke toll de to isase kam paise me wo
dono side use kar sakta tha lekin fastag me to automatic hai to ye kaise karege
ye.
Yadi aap
fastag use karte hai aur kisi toll plaza se gujarte hai to fastage scanner ek
side ka pura jo bhi amount honga wo cut kar lena lekin yadi aap 24 hour ke
andar wapas aa jate hai to wo scanner scan kar ke aap ke jitane bhi paise honge
yadi jyada cut kiya hoga to wapas karege yad kuch aur cut kar lena lekin wo 24
hour ke hi paise katega, jaisa pahale hota tha.
Q – Toll
plaza ke yadi RFID Scanning Device kharab ho to kya honga—
Yadi kabhi
aisa hota hai to aapke Fastag se koi charge nhi katega aur cash bhi aapko nhi
denga honga.
Q – kya
Fastag RFID Secure hai –
Yes, ye 100
% secure hai, aapke Fastag ko sirf aur sirf Approved RFID Scanner hi scan kar
ke amount cut kar sakta hai, us uski turant sms bhi aapko mil jayega.
Q – Kya
honga yadi Fastag jisaka hai wo Gandi bech de to kya honga Fastag ka –
Yadi aisa
koi karta hai to uske Fastag ke sare balance ko naye owner ke new Fastag me
transfer kar diya jayega wo balance fastag to fastag me hi transfer honga.
Q – kya hoga
yadi FASTag unusable ya windshield tut jaye –
Yadi kabhi
aisa hota hai to aapko new ke apply karana honga new fastag lene ke job hi fee
hongi wo apko pay karni hongi aur, old wale fastag ke sare balance ko new wale
Fastag me transfer kar diya jayega.
Q – Yadi tay
amount se jyada cut jaye Fastag se to kya karna honga –
Aisa ho nhi
sakta hai, lekin yadi ho jata hai aisa to aap kop customer care pe call karana
hoga wo bhi puri detail ke sath.
Conclusion –
Aaj ke es
post (Article ) me hum bat kiye hai
FASTag ke bare me ki ye kya hai aur kaise use kiya jaye Fastag ke bare me sari
jankari A to Z sari jankari bata diya hu
aur yadi aap ko lagata hai ki mene kuch miss ya chood diya hai to mujhe comment
kar me use add karane ki kosis karuna aap ka comment ke wait rahega mujhe aur
yadi koi Question hai apka Fastag ko lekr to aap mujhe comment kar sakte hai.
0 Comments
thankyou for comment.